Ham Madine Se Allah Kyun Aa Gaye
Singer | Zulfikar Ali Hussaini |
Song Writer | Islamic Naat Lyrics |
Ham madine se Allah kyun aa gaye
Qalb hairan ki taskin wahin rah gayin
Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin
Yaad ate hain hamko wo sham-o-sahar
Wo sukoon-e-dil-o-jaan wo rooh-o-nazar
Ye unhin ka karam hai unhin ki ‘ata
Ek kaifiyat-e-dil nasheen rah gayin
Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin
Allah Allah wahan ka darood-o-salam
Allah Allah wahan ka sujood-o-qayan
Allah Allah wahan ka wo kaif-e-dawam
Wo salat-e-sukoon afrin rah gayin
Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin
Jis jagah sajda rezi ki lazzat mili
Jis jagah har qadam unki rahmat mili
Jis jagah noor rahta sham-o-sahar
Wo falak rah gaya wo zameen rah gayin
Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin
Padh ke nasrun minal lahi wa fathun qareeb
Jab huye ham rawan suye kuye habib
Barkaten rahmaten sath chalne lagin
Bebasi zindagi ki yahin rah gayin
Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayi
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin
Zindgani wahin kaash hoti basar
Kash bhahzad aate na ham laut kar
Aur poori hui har tamanna magar
Ye tamanna-e-qalb-e-hazeen rah gayin
Ham madine se Allah kyun aa gaye
Qalb hairan ki taskin wahin rah gayin
Dil wahin rah gaya jaan wahin rah gayin
Kham usi dar pe apni jabeen rah gayin
Sham-o-sahar
0 Comments