Ho Karam Sarkar Ab To
Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar

Jaan-o-dil Tum par fida, aie do jahan kay tajdaar

Mein akela aur masail zindagi kay baishumar
Mein akela aur masail zindagi kay baishumar,
App hi kuch kijiye na, aie Shahe-aali-waqar

Yaad aata hai tawaffe Khana Kaaba mujhay

Aur lipatna Multazan say walihana bar bar

Jaraha hai kaafila Taiba nagar roota hua

Mein raha jata hoon tanha aie Habib-e-kirdgar

Ghumbade Khazra kay jalway aur woh iftarian

Yaad aati hai bohat Ramadan e Taiba ki bahar

Kafilay walo suno, yaad aaie to mera Salaam

Arz kerna rotay rotay ho sakay to baar bar
Arz kerna rotay rotay ho sakay to bar baar
Ghamzada yoon na hua hota Ubaid-e-Qadri
Ghamzada yoon na hua hota Ubaid-e-Qadri
Eik baras bhi dekhta agar Sabz Gunbad ki bahar
Eik baras bhi dekhta agar Sabz Gunbad ki bahar
Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar
Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Ghum Baishumar
Naat Khawan: Owais Raza Qadri
0 Comments