Shab E Barat Me Kya Kare

Shab E Barat Me Kya Kare
Jo Kuch diya hai oh Allah ne diya hai apna kuch nahi hai. ager ham ye soch te hai ke ye hamne bajhu 💪🏻 ki kuwat se kemya hai to ye fizhul baat hai. ager maal bajhu ki Kuwat se milta to fir har insan maldar hota. Mehnat kon nahin karta, mehnat sab karte Hain lekin Allah tabarak wtala ka fazal hai kye Allah hamen navastha hai, Allah hamen deta hai, usko naraj mat karo, kab tak Allah ko naraj karenge.

Aaj ki Raat ham isliye ibadat karte hain ke Allah ko razi Karen, humne aaj se pahle Jo kuchh Kiya hai Allah ki bargah mein tuba Karen.

Kyo ki Allah tabarak wtala jab naraz ho jata hai to insan pae tangasti daal deta hai, insan ko belao mein giraftaar karta hai, insan ko zaleel aur ruswa kar deta hai, insan ko Kisi kaam ke kabil nahin rahane deta. Allah se toba kere.

Ek Waqya samath farmaye

Ek shaks Imam basri radiallahu taala anha ke paas aaya. Imam basri r.a. ne usko samjhaya vah nahin mana. Aakhir kar fir Balao mein girftar hua tab imam basri r.a. se logon ne Kaha Hazrat ab hua Fir bimari ho gaya hai. Aur itna bimar hua hai ab uske bachne ke chances khatm ho gaye yani vah mar jaenga.

imam basri razi Allah tala anhu ne farmaya chalo Ek musalman hai Uske Marne Ka waqt kareeb hai hamen Uske Ghar chalna chahie aur usko kuchh himmat aur hausle ki baat karni chahie. Jab vah tashreef le gaye to unhone dekha vah machhali ki tarah tadap raha tha vah bechain aur bekarar tha Allah ke wali imam basri r.a. ne usse farmaya ye jawan kya hal hai, vah Rone laga aur usne keha ye Allah ke bande mene aap ki baat nahi mani. Main Toba karta raha aur todta raha aur hamesha gunhaho me diler hota raha. ab main aisi bala mein girftar ho geya ke Ab mera koi Gamkhar nahin, main balao ke andar duba hua hun.

imam basri r.a. Allah ke bande koi baat nahin tuba ka darvaja khula hua hai aur Allah tabarak wtana Apne bandhuon ki tauba qubool karta hai. Yah sunkar usne kaha ab main kya karun farmaya Ek bar fir toba kar Allah tala tujhe fir maaf kar dena.

Usne Jaise hi kaha ya Allah main teri bargaha main tauba karta hun. Ghar ke kaun se awaaz aai ke bande bus kar to dhokebaj aur makkar hai jab-jab tuba ki humne teri tuba qubool kiya lekin tune dhokha diya, makrr kiy aur tu hamesha toba karke toba ko todta raha.

Jab imam basri r.a. ne or sab ne suna to aap ne farmaya utho utho ab iska kissa khatam hai, iski akhrat bhi barbad ho gai. Ab yahan baithane ka fayda kya hai imam basri r.a. rote-rote apne ghar ki taraf chale gaye.

uski budhi maa bhi rone lagi aur vah bhi rone laga. Use Jawan ne Kaha apni maa se imam basri r.a. to chale gaye, gayab se awaaz bhi a gai ke tujhe maaf nahin kiya jaega lekin mujhe yakin hai ki mera Allah bada sattar o gaffar hai, Mera Allah bada Karim hai. A meri Maa ek kam kar main tujhe Allah ki kasam dekar kehta hoon mere gale mein rasi dal aur mujhe Ghar ke Charon kone mein ghaceit aur mere chehre ko dhul lagakar use per pair rakha kar kahana ke yah uski saja hai jisne allah ke sath bagavat ki hai aur gunah Kiya hai Allah Tu to bada kareem hai mere bete ko baksh de maaf kar de aur uske maa ne aisa hi kiya aur allah ke bargah me dua ki ye Allah Mera beta agar se gunagaar hai, Siyakar hai, khatakar hai lekin vah Aaj Apne gunaho se mafi mang raha hai. Allah Tu mere bacche ko baksh dega to ismein Tera kya nuksan hai ye kahe ke maa bhi rone lagi aur vah Jawan bhi Rone laga gayb se awaz aai ja humne tere bete ko baksh diya aur imam basri r.a. ke kaano tek bhi ye awaz pohchi ke Allah ne usko buksh diya aur maaf bhi ker diya.

Allah tala ki rahamaton ko sirf bakhshish ka bahana chahie. Allah ki rehmat sirf bakshish ka bahana talash karti hai aur Aaj ki Raat hai yani SHAB E BARAT ki Raat khaas bakshish ki Raat hai, Aaj ki Raat kash maghfirat ki Raat hai Allah ke rasool Alahe Salam farmate hai 5 raaton mein duaye Kabhi rad Nahin Hoti "Rajab ki pehli Raat, dusri shab e barat, teesri shab e kadr, chauthi Arafat ki shab (haji jis din haj ke maidan mein hone wale hote Hain) aur paanchvi Eid ul fitr ki Raat". Yah panch raaton mein Allah ke rasool ne jamanat di hai in shab mein Jo kuch bhi manga qubool hoga.

Zindagi Ka koi bharosa nahi hai, Ham har saal jama hote hai,toba karte hai lekin in ham kabhi aise bhi toba karen ke is toba ke baat Zindagi me Kabhi gunha na ho, es toba ke baat jindgi me 5 waqt namaz ho, jis toba ke baat chehre se dadhi nakate, aisi tauba ho jiske bad ham Kisi per zulm karna band kar de.

Es tobase hamri Zindagi badal jaye. Inshallah

Post a Comment

0 Comments